INTERVIEW FOR CSE 2019
All ForumIAS members selected for CSE 2019 Personality Test must submit their details and DAF and register below to receive further instructions and guidance from ForumIAS. Click here to register now
INTERVIEW 2020 CHANNEL
ForumIAS Channel for Interview Preparation is now Active! Please join the channel by clicking here
We are hiring!

UPPSC : 2019

16465676970114

Comments

  • Ye acha hai k ab thoda sudhaar hua hai chizo mein.
    Paper ka level, on time exam and no paper leaks etc.
    Baki up guys have gud opportunity as here pcs is held each year unlike other states.
  • edited December 2019
    Cut Off ka bhav...
    125.. Kam ya Jyada!!!
    Dil ki baat kahoon to 125 cutoff maan'ne ke do bahut odd reasons hain...
    1. 2018 me 126 chali gayi thi jabki ummid 120 tak ki hi thi... Vo kehte hain ki doodh ka jala lassi ko foonk foonk ke pita hai... Isliye 125...
    2. Facebook pe log kam cutoff maan'ne ko raazi nahi hain... Sab badh-chadh ke 95, 100 questions bole jaa rahe hain... Isliye 125...

    Jabki mera personal conviction hai ki cutoff 115-120 ke beech hi rahegi...

    Iska ye logic hai... UPSC 2016 ka pre recent history ka sabse asaan prelims mana jata hai... Pura paper pt365 se aa gaya thaa... But uss saal bhi UPSC me pre ki cutoff 116 hi gayi thi... UPSC me seats uss saal 1079 thee...
    Ab uppcs 2019 and upsc 2016 ka comparison karein to up me seats upsc 16 ke ek tihayi se kuchh kam hain... Paper wahi UPSC level ka tha lekin sirf UP state and aspas ke aspirants me competition hai... UP ke traditional dhurandhar aspirants, jo ghatnachakra aur drishti ratt ke gaye the, vo jyada kaam nahi aayi...
    Isliye cutoff 115-120 rahegi ye mera maan'na hai... Baaki waqt batayega ya UPPSC batayega...
  • साला साल भर गाय गोरु की संख्या, नून तेल सरसों रटो फिर साला एक भी ques न आये तो करेजवा कछार जाता है
    :D
  • edited December 2019
    Uppsc ki pratistha badhane k liye prabhat ji ka dhanyawaad :) :)
    Jai Hind sa'ab...
    Aap to safe ho... 2017 me aap to nikal gaye DSP banke... Hame chhod gaye... :#
  • Cut Off ka bhav...
    125.. Kam ya Jyada!!!
    Dil ki baat kahoon to 125 cutoff maan'ne ke do bahut odd reasons hain...
    1. 2018 me 126 chali gayi thi jabki ummid 120 tak ki hi thi... Vo kehte hain ki doodh ka jala lassi ko foonk foonk ke pita hai... Isliye 125...
    2. Facebook pe log kam cutoff maan'ne ko raazi nahi hain... Sab badh-chadh ke 95, 100 questions bole jaa rahe hain... Isliye 125...

    Jabki mera personal conviction hai ki cutoff 115-120 ke beech hi rahegi...

    Iska ye logic hai... UPSC 2016 ka pre recent history ka sabse asaan prelims mana jata hai... Pura paper pt365 se aa gaya thaa... But uss saal bhi UPSC me pre ki cutoff 116 hi gayi thi... UPSC me seats uss saal 1079 thee...
    Ab uppcs 2019 and upsc 2016 ka comparison karein to up me seats upsc 16 ke ek tihayi se kuchh kam hain... Paper wahi UPSC level ka tha lekin sirf UP state and aspas ke aspirants me competition hai... UP ke traditional dhurandhar aspirants, jo ghatnachakra aur drishti ratt ke gaye the, vo jyada kaam nahi aayi...
    Isliye cutoff 115-120 rahegi ye mera maan'na hai... Baaki waqt batayega ya UPPSC batayega...
    Analysis is good!!
    Man nahi manta ki 120-121 se jyada jayega!!
    Lekin log chilla rhe hain 130!!!
  • साला साल भर गाय गोरु की संख्या, नून तेल सरसों रटो फिर साला एक भी ques न आये तो करेजवा कछार जाता है
    Lol :trollface: :trollface: :trollface:
  • Ab 2018 se hi ummeed hai
    Coz 19 ka scene feb tak clear nai hoga and 2 mahine milenge bas mains ko Revise bhi na ho payega poora gs and optional
  • Up pcs k purane dhurandher logo ko toh nuksaan hua hi h but unse jyada nuksaan freshers ka hua h. Kuonki ca k qs kam the aur static part bhi detail me pucha gaya.
    Jo log upsc k saath saath up pcs ki preparation kar rhe h unke liye jyada sahi rha h paper.keval pcs style me padhne walo ko toh ab bahut jyada dikkat hogi.
    Aisa mujje lagta h.
  • yadi forum ko great banana h to up ka ek exam kara do. forum jivit ho jayega. ;)
  • Cut off Cut Off khelo!!
    Veterans!!
This discussion has been closed.

Welcome!

We are a secret self-moderated community for Civil Services preparation. Feel free to join, start a discussion, answer a question or just to say Thank you.

Just dont spread the word ;)

Sign in or join with Facebook or Google