INTERVIEW FOR CSE 2019
All ForumIAS members selected for CSE 2019 Personality Test must submit their details and DAF and register below to receive further instructions and guidance from ForumIAS. Click here to register now
INTERVIEW 2020 CHANNEL
ForumIAS Channel for Interview Preparation is now Active! Please join the channel by clicking here
We are hiring!

UPPSC : 2019

16162646667114

Comments

  • 85 se 90 qs jayegi cutt off
    90 se kam nahin jaegi Bhai kisi haal mein...
    Kya pata bhai..... But mujhe lag rha h ki 90 qs se kam hi jayegi cutt off.
  • Supreme court wale question ka ans c kaise hoga ?
    Even HC in the past has invalidated many central laws.
    Grade up and pendulum dono ki ans key mein c diya hai.
  • Merit will be iike
    140+ Marks approx 100 students
    135-140 next 700-800
    130-135 next 2200-2400
    So 127 128 129 might be ideal cutoff if Intake is 4000
    For 300 seats and 12 times selection only around 3600-4000 candidates will clear prelims... Matlab unreserved male Category ke sirf 1200-1700 selections... Ye final figure depend karegi ki kitni unreserved girls bina horizontal reservation ke pre nikal pati hain... jiski sankhya bahut kam hogi... 1200-1300 unreserved male selections maanke chalo...

    Lekin iski cutoff bhi maximum 125 marks jayegi...
    Aisa isliye kyuki sabhi answer keys me kayi mistakes hain... Maine khud check kiye hain... Abhi ladke ankh band karke answer key se mila rahe hain and score bataa rahe hain... Official key se sabka score 5-8 marks girega...

    Vaise ek new era ki dawn ho gayi hai UPPSC me iss saal se... Future kya hoga, koi nahi keh saktaa...
    Then cutoff will stop at 130
    Coz many ppl are having score of 98-102 questions
    Aapke 98-102 waale bhai official answer key ke baad 94-96 waale ban jayenge... Believe me, it has become almost but completely like UPSC now...

    Main daave ke saath keh sakta hoon ki kal ke paper me koi virlaa gudri ka laal hi hoga jo official answer key se 138 marks paar kara paaye... 130-135 lane waale bhi really distinguished bande hi honge... Dhurandharo ki asli clustering 120-125 ke bracket me hogi... and clustering ki upper limit hi abhi cutoff maan ke chalo... yaani 125...

    Ladke ro rahe hain literally kal ke paper se... 1200-1300 unreserved male ke selections par bhi cutoff 125 ko cross nahi karegi... and abhi to bhar-bhar ke objection jaayenge... Ye saare assertion reason waale questions me to bahot objections jayenge... For example, saari answer keys companies act waale ka only 1 correct bata rahi hain... jabi sahi answer hai 'neither'... kyunki companies act 2013 me aya tha naki 2014 me... Gazette notification me bhi 'Act 18 of 2013' likha hai...

    Seats badhne ki bhi baat ho rahi hai but abhi kuchh confirm nahi hai... Keh rahe hain lagbhag 100 seats badh sakti hain...

    +1
    Both true hain...

    Yehi main bhi keh raha hun... Kal raat 3 baje tak baith ke hamne questions tally kiye hain... Saari answer keys me galtiyan hain... Abhi official answer keys aane do... Tab picture clear hogi...
  • Is baar k pre me jisne pahle dhang se ki h padhai toh wahi gyan kaam aya h.

    Current affairs k qs kam the.
    Up special gayab.
    Census na k baraber.
    Sataic part me simple qs bhi bahut ghuma k pucha jaise partition of bengal wala and mansab wale qs. And kuch qs to static part me aise the jo ki optional level ki ya fir bahut detail me taiyar kiya ho tabhi possible the hone,specialy history and geography me.
  • Uppcs 17 wale se bhi kathin tha is baar ka paper
  • Aise peper agar aaynege up pcs me ab se toh cutt off bhi pre me utani hi jayegi jaise upsc me jati h.
  • Supreme court wale question ka ans c kaise hoga ?
    Even HC in the past has invalidated many central laws.
    Grade up and pendulum dono ki ans key mein c diya hai.
    Yes..Chandra case law m bola gya tha..tribunal waale m..judicial review is a basic feature available to both..high court and supreme court..not exclusive to supreme court..
  • Merit will be iike
    140+ Marks approx 100 students
    135-140 next 700-800
    130-135 next 2200-2400
    So 127 128 129 might be ideal cutoff if Intake is 4000
    For 300 seats and 12 times selection only around 3600-4000 candidates will clear prelims... Matlab unreserved male Category ke sirf 1200-1700 selections... Ye final figure depend karegi ki kitni unreserved girls bina horizontal reservation ke pre nikal pati hain... jiski sankhya bahut kam hogi... 1200-1300 unreserved male selections maanke chalo...

    Lekin iski cutoff bhi maximum 125 marks jayegi...
    Aisa isliye kyuki sabhi answer keys me kayi mistakes hain... Maine khud check kiye hain... Abhi ladke ankh band karke answer key se mila rahe hain and score bataa rahe hain... Official key se sabka score 5-8 marks girega...

    Vaise ek new era ki dawn ho gayi hai UPPSC me iss saal se... Future kya hoga, koi nahi keh saktaa...
    Then cutoff will stop at 130
    Coz many ppl are having score of 98-102 questions
    Aapke 98-102 waale bhai official answer key ke baad 94-96 waale ban jayenge... Believe me, it has become almost but completely like UPSC now...

    Main daave ke saath keh sakta hoon ki kal ke paper me koi virlaa gudri ka laal hi hoga jo official answer key se 138 marks paar kara paaye... 130-135 lane waale bhi really distinguished bande hi honge... Dhurandharo ki asli clustering 120-125 ke bracket me hogi... and clustering ki upper limit hi abhi cutoff maan ke chalo... yaani 125...

    Ladke ro rahe hain literally kal ke paper se... 1200-1300 unreserved male ke selections par bhi cutoff 125 ko cross nahi karegi... and abhi to bhar-bhar ke objection jaayenge... Ye saare assertion reason waale questions me to bahot objections jayenge... For example, saari answer keys companies act waale ka only 1 correct bata rahi hain... jabi sahi answer hai 'neither'... kyunki companies act 2013 me aya tha naki 2014 me... Gazette notification me bhi 'Act 18 of 2013' likha hai...

    Seats badhne ki bhi baat ho rahi hai but abhi kuchh confirm nahi hai... Keh rahe hain lagbhag 100 seats badh sakti hain...
    Exactly bhai. Companies act aaya hi 2013 me. Use kayi keys 2014 correct bata rahi. Kuchh bhi...
  • पीसीएस, एसीएफ एवं आरएफओ प्री परीक्षा में 58 प्रतिशत परीक्षार्थी शामिल हुए। आयोग के सचिव जगदीश ने बताया कि आवेदन करने वाले 544664 परीक्षार्थियों में से 318624 परीक्षा में शामिल हुए जबकि 226040 अनुपस्थित रहे। परीक्षा प्रदेश के 19 शहरों में बनाए गए 1166 केंद्रों पर दो पालियों में आयोजित हुई। बकौल सचिव सभी केंद्रों पर परीक्षा शांतिपूर्ण संपन्न हुई।
    Source: newspaper
This discussion has been closed.

Welcome!

We are a secret self-moderated community for Civil Services preparation. Feel free to join, start a discussion, answer a question or just to say Thank you.

Just dont spread the word ;)

Sign in or join with Facebook or Google